Kisse Kahaniyan

This is our first podcast, please have fun listening and give feedback :) Kisse Kahniyan, ek aisa safar jo le kar jayega apko sapnon ki nayi duniya mein. Yahan hum sunayenge aapko kuch adbhut kahaniyan jo na pehle kabhi likhi gayin aur na hi sunayi gayin. Yahan ankhon mein asoon bhi honge aur hassi ke thahake bhi, kabhi bachon ki galiyon mein ghumeinge to kabhi khauf ke manjaar mein dubeinge. Ishq ki bazi mein kabhi gulab ki jeet hogi to kabhi murjhaye foolon ke sang ratein bhi guzarengi. Ek aisa safar jo har insaan ki zindagi ko kahin na kahin, uske khud ki jeevan ki dastaan beyan karega. Kisse Kahaniyan, ek jadu ki duniya se kar raha hai shurwaat, Pagal Jadugar ka bhhot. Ek kaufnaak kahani jahan jadu bhi hoga aur maut ka saya bhi. Is kahanai mien ek jadugar ke sath hui ek anhoni ghatna hai, jisse vo pagal ho jata hai. Kya hota hai uske sath aur kya kar payega vo uska mukabla ? Janiye is kahani mein PAGAL JADUGAR KA BHOOT. Intezaar rahega apke feedback ka....