Episode 97 MAsih Yesu Ki Pasli BHedne KA BHed

Check out my latest episode! YÚHANNÁ KÍ INJÍL 19; 33 Lekin jab unhoṉ ne Yisúʻ ke pás ákar dekhá ki wuh mar chuká hai, to us kí ṭáṉgeṉ na toṛíṉ. 34Magar un meṉ se ek sipáhí ne bhále se us kí paslí chhedí aur fiʼlfaur us se ḳhún aur pání bah niklá. 35 Jis ne yih dekhá hai usí ne gawáhí dí hai, aur us kí gawáhí sachchí hai; 36Yih báteṉ is liye húíṉ ki yih nawishta púrá ho, ki Us kí koí haḍḍí na toṛí jáegí. 37 Phir ek âur nawishta kahtá hai, ki Jise unhoṉ ne chhedá, us par nazar kareṉge.PAIDÁISH 2; 21 Aur ḲHUDÁWAND Ḳhudá ne Ádam par gahrí nínd bhejí, aur wuh so gayá: aur us ne us kí pasliyoṉ meṉ se ek ko nikál liyá, aur us kí jagah gosht bhar diyá; 22aur ḲHUDÁWAND Ḳhudá us paslí se, jo us ne Ádam men se nikálí thí, ek ‘aurat banákar use Ádam ke pás láyá. 23Aur Ádam ne kahá, ki Yih to ab merí haḍḍiyoṉ meṉ se haḍḍí, aur mere gosht meṉ se gosht hai:LÚQÁ KÍ INJÍL 22; 19 Phir us ne roṭí lí, aur shukr karke toṛí, aur yih kahkar un ko dí, ki Yih merá badan hai, jo tumháre wáste diyá játá hai:20 Aur isí tarah kháne ke baʻd piyála yih kahkar diyá, ki Yih piyála mere us ḳhún meṉ nayá ʻahd hai, jo tumháre wáste baháyá játá hai.PAIDÁISH 2; 18 Aur ḲHUDÁWAND Ḳhudá ne kahá, ki Ádam ká akelá rahná achchhá nahíṉ; maiṉ us ke liye ek madadgár us kí mánind banáúṉgá.Yúhanná kí Injíl 15:26 (URDR55)Lekin jab wuh Madadgár áegá, jis ko maiṉ tumháre pás Báp kí taraf se bhejúṉgá, yaʻní Sachcháí kí Rúh, jo Báp kí taraf se nikaltí hai, to wuh merí gawáhí degí:PAIDÁISH 2; is liye wuh Nárí kahláegí, kyúṉki wuh Nar se nikálí gayí.I KURINTHÍOṈ 11; 8 Is liye ki mard ʻaurat se nahíṉ, balki ʻaurat mard se hai:I KURINTHÍOṈ 11; 3 Pas maiṉ tumheṉ ágáh karná cháhtá húṉ, ki har mard ká sir Masíh, aur ʻaurat ká sir mard, aur Masíh ká sir Ḳhudá haiYÚHANNÁ KÍ INJÍL 14; 10 Kyá tú yaqín nahíṉ kartá, ki maiṉ Báp meṉ húṉ, aur Báp mujh meṉ hai? Yih báteṉ jo maiṉ tum se kahtá húṉ, apní taraf se nahíṉ kahtá: lekin Báp mujh meṉ rahkar apne kám kartá hai. 11Merá yaqín karo, ki maiṉ Báp meṉ húṉ, aur Báp mujh meṉ; nahíṉ to mere kámoṉ hí ke sabab merá yaqín karo.I KURINTHÍOṈ 15; 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 

2356 232