Episode 95 Pital KE Sanp KA mukashafa
Check out my latest episode!youtube link - https://youtu.be/fMV9x_o5-BwPAIDÁISH 3 1Aur sáṉp kull dashtí jánwaroṉ se, jin ko ḲHUDÁWAND Ḳhudá ne banáyá thá, chálák thá.14Aur ḲHUDÁWAND Ḳhudá ne sáṉp se kahá, Is liye ki tú ne yih kiyá, tú sab chaupáyoṉ aur dashtí jánwaroṉ meṉ mal‘ún ṭhahrá; tú apne peṭ ke bal chalegá, aur apní ‘umr bhar ḳhák cháṭegá:15aur maiṉ tere aur ‘aurat ke darmiyán aur terí nasl aur ‘aurat kí nasl ke darmiyán ‘adáwat ḍálúṉgá; wuh tere sir ko kuchlegá, aur tú us kí eṛí par káṭegá.Yasa‘iyáh 65:25 (URDR55)Bheṛiyá aur barra ikaṭṭhe chareṉge, aur sher i babar bail kí mánind bhúsá kháegá: aur sáṉp kí ḳhurák ḳhák hogí.Zabúr 44:25 (URDR55)Kyúṉki hamárí ján ḳhák meṉ mil gayí;,Hamárá jism miṭṭí ho gayá.,YASA‘IYÁH 53;10Lekin ḲHUDÁWAND ko pasand áyá, ki use kuchle; us ne use g̣amgín kiyá: jab us kí ján gunáh kí qurbání ke liye guzrání jáegí, to wuh apní nasl ko dekhegá, us kí umr daráz hogí, aur Ḳhudá kí marzí us ke háth ke wasíle se púrí hogí.Yasa‘iyáh 11:8 (URDR55)Aur dúdhpítá bachcha sáṉp ke bil ke pás khelegá, aur wuh laṛká jis ká dúdh chhuṛáyá gayá ho, afa‘í ke bil meṉ háth ḍálegá.Gintí 21:8 (URDR55)Tab ḲHUDÁWAND ne Músá se kahá, ki Ek jalánewálá sáṉp baná le, aur use ek ballí par laṭká de: aur jo sáṉp ká ḍasá húá us par nazar karegá, wuh jítá bachegá.Gintí 21:9 (URDR55)Chunáṉchi Músá ne pítal ká ek sáṉp banwákar use ballí par laṭká diyá: aur aisá húá, ki jis jis sáṉp ke ḍase húe ádmí ne us pítal ke sáṉp par nigáh kí, wuh jítá bach gayá.ISTISNÁ 21; 22Aur agar kisí ne koí aisá gunáh kiyá ho, jis se us ká qatl wájib ho, aur tum use márkar daraḳht se ṭáṉg do; 23to us kí lásh rát bhar daraḳht par laṭkí na rahe, balki tum usí din use dafn kar dená;Yúhanná kí Injíl 3:14 (URDR55)Aur jis tarah Músá ne sáṉp ko biyábán meṉ úṉche par chaṛháyá, usí tarah zarúr hai ki Ibn i Ádam bhí úṉche par chaṛháyá jáe;I KURINTHÍOṈ 15; 3Chunáṉchi maiṉ ne sab se pahle tum ko wuhí bát pahuṉchá dí, jo mujhe pahuṉchí thí, ki Masíh kitáb i muqaddas ke bamújib hamáre gunáhoṉ ke liye múá;I PATRAS 2; 24wuh áp hamáre gunáhoṉ ko apne badan par liye húe salíb par chaṛh gayá, táki ham gunáhoṉ ke iʻtibár se markar rástbází ke iʻtibár se jíeṉ; aur usí ke már kháne se tum ne shifá páí.Amsál 30:19 (URDR55)‘Uqáb kí ráh hawá meṉ;,Aur sáṉp kí ráh chaṭán par;ḲHURÚJ 7;10Aur Músá aur Hárún Fir‘aun ke pás gaye, aur unhoṉ ne ḲHUDÁWAND ke hukm ke mutábiq kiyá: aur Hárún ne apní láṭhí Fir‘aun aur us ke ḳhádimoṉ ke sámne ḍál dí aur wuh sáṉp ban gayí.GALATÍOṈ 3; 13Masíh jo hamáre liye laʻnatí baná, us ne hameṉ mol lekar sharíʻat kí laʻnat se chhuṛáyá: kyúṉki likhá hai, ki Jo koí lakṛí par laṭkáyá gayá, wuh laʻnatí hai: 14táki Masíh Yisúʻ meṉ Ibráhím kí barakat gairqaumoṉ tak bhí pahuṉche; aur ham ímán ke wasíle se us Rúh ko hásil kareṉ, jis ká waʻda húá hai.Matí kí Injíl 12:34 (URDR55)Ai sáṉp ke bachcho, tum bure hokar kyúṉkar achchhí báteṉ kah sakte ho?kyúṉki jo dil meṉ bhará hai, wuhí muṉh par átá hai.35 Achchhá ádmí achchhe ḳhazáne se achchhí chízeṉ nikáltá hai; aur burá ádmí bure ḳhazáne se burí chízeṉ nikáltá hai. 36Aur maiṉ tum se kahtá húṉ, ki jo nikammí bát log kaheṉge, ʻadálat ke din us ká hisáb deṉge. 37Kyúṉkí tú apní bátoṉ ke sabab se rástbáz ṭhahráyá jáegá, aur apní bátoṉ ke sabab se qusúrwár ṭhahráyá jáegá.YÚHANNÁ KÍ INJÍL 3; 6Jo jism se paidá húá hai, jism hai, aur jo Rúh se paidá húá hai, rúh hai.Galatíoṉ 6:8 (URDR55)Jo koi apne jism ke liye botá hai, wuh jism se halákat kí fasl káṭegá; aur jo Rúh ke liye botá hai, wuh Rúh se hamesha kí zindagí kí fasl káṭegá.LÚQÁ KÍ INJÍL 9; 24Kyúṉki jo koí apní ján bachání cháhe, wuh use khoegá; aur jo koí mere wáste apní ján khoe, wuhí use bacháegáYÚHANNÁ KÍ INJÍL 8; 40Lekin ab tum mujh jaise shaḳhs ke qatl kí koshish meṉ ho, jis ne tum ko wuhí haqq bát batáí jo Ḳhudá se suní. Ibráhím ne to yih nahíṉ kiyá thá. 41Tum apne báp ke se kám karte ho. Unhoṉ ne us se kahá; Ham harám se paidá nahíṉ húe; hamárá ek Báp hai, yaʻní Ḳhudá. 42Yisúʻ ne un se kahá; Agar Ḳhudá tumhárá Báp hotá, to tum mujh se mahabbat rakhte; is liye ki maiṉ Ḳhudá meṉ se niklá aur áyá húṉ; kyúṉki maiṉ áp se nahíṉ áyá, balki usí ne mujhe bhejá. 43Tum merí báteṉ kyúṉ nahíṉ samajhte?Is liye ki merá kalám sun nahíṉ sakte. 44Tum apne báp Iblís se ho, aur apne báp kí ḳhwáhishoṉ ko púrá karná cháhte ho. Wuh shurúʻ hí se ḳhúní hai, aur sachcháí par qáim nahíṉ rahá, kyúṉki us meṉ sachcháí hai nahíṉ. Jab wuh jhúṭh boltá hai, to apní hí si kahtá hai; kyúṉki wuh jhúṭhá hai, balki jhúṭh ká báp hai.ISTISNÁ 5 ; 16 Apne báp aur apní máṉ kí ‘izzat karná, jaisá ḲHUDÁWAND tere Ḳhudá ne tujhe hukm diyá hai; táki terí ‘umr daráz ho, aur jo mulk ḲHUDÁWAND terá Ḳhudá tujhe detá hai, us meṉ terá bhalá ho. 17Tú ḳhún na karná.PAIDÁISH 3; 20Aur Ádam ne apní bíwí ká nám Hawwá rakkhá; is liye ki wuh sab zindoṉ kí máṉ hai.Kyu ki hawwa zindo ki man hai murdo ko nhiMagar badan to gunah ke sabab se murda haiROMÍOṈ 1jo jism ke iʻtibár se to Dáúd kí nasl se paidá húá, 4lekin pákízagí kí rúh ke iʻtibár se, murdoṉ meṉ se jí uṭhne ke sabab, qudrat ke sáth Ḳhudá ká Beṭá ṭhahrá; 5jis kí maʻrifat ham ko fazl aur risálat milí, táki us ke nám kí ḳhátir sab qaumoṉ meṉ se log ímán ke tábiʻ hoṉRomíoṉ 8:12 (URDR55)Pas, ai bháiyo, ham qarzdár to haiṉ, magar jism ke nahíṉ, ki jism ke mutábiq zindagí guzáreṉ.13Kyúṉki agar tum jism ke mutábiq zindagí guzároge, to zarúr maroge. Aur agar rúh se badan ke kámoṉ ko nest o nábúd karoge, to jíte rahoge. 14Is liye ki jitne Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se chalte haiṉ, wuhí Ḳhudá ke beṭe haiṉ.ROMÍOṈ 8; 10Aur agar Masíh tum meṉ hai, to badan to gunáh ke sabab se murda hai; magar rúh rástbází ke sabab se zinda hai.ROMÍOṈ 8; 5Kyúṉki jo jismání haiṉ, wuh jismání bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ; lekin jo rúhání haiṉ, wuh rúhání bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ. 6Aur jismání níyat maut hai; magar rúhání níyat zindagí aur itmínán hai: 7is liye ki jismání níyat Ḳhudá kí dushmaní hai; kyúṉki na to Ḳhudá kí sharíʻat ke tábiʻ hai, na ho saktí hai: 8aur jo jismání haiṉ, wuh Ḳhudá ko ḳhush nahíṉ kar sakte.I Yúhanná 5:19 (URDR55)Ham jánte haiṉ, ki ham Ḳhudá se haiṉ; aur sárí dunyá us sharír ke qabze meṉ paṛí húi hai.I Yúhanná 5:18 (URDR55)Ham jánte haiṉ, ki jo koí Ḳhudá se paidá húá hai, wuh gunáh nahíṉ kartá; balki us kí hifázat wuh kartá hai, jo Ḳhudá se paidá húá, aur wuh sharír use chhúne nahíṉ pátá.Matí kí Injíl 13:19 (URDR55)Jab koí bádsháhat ká kalám suntá hai, aur samajhtá nahíṉ, to jo us ke dil meṉ boyá gayá thá, use wuh sharír ákar chhín le játá hai. Yih wuh hai, jo ráh ke kanáre boyá gayá thá.MARQUS KÍ INJÍL 4; 15Jo ráh ke kanáre haiṉ, jaháṉ ki kalám boyá játá hai, yíh wuh haiṉ, ki jab unhoṉ ne suná, to Shaitán fiʼlfaur ákar us kalám ko jo un meṉ boyá gayá thá, uṭhá le játá hai.GALATÍOṈ 5; 19 Ab jism ke kám to záhir haiṉ, yaʻní harámkárí, nápákí, shahwatparastí, 20butparastí, jádúgarí, ʻadáwateṉ, jhagṛá, hasad, gussa, tafriqe, judáíáṉ, bidʻateṉ, 21bugz, nashebází, náchrang, aur âur in kí mánind: in kí bábat tumheṉ pahle se kahe detá húṉ, jaisá ki peshtar jatá chuká húṉ, ki aise kám karnewále Ḳhudá kí bádsháhat ke wáris na hoṉge.GALATÍOṈ 4 1Maiṉ yíh kahtá húṉ, ki wáris jab tak bachcha hai, agarchi wuh sab ká málik hai, magar us meṉ aur gulám meṉ farq nahíṉ; 2balki jo míʻád báp ne muqarrar kí, us waqt tak sarparastoṉ aur muḳhtároṉ ke iḳhtiyár meṉ rahtá hai. 3Isí tarah ham bhí jab bachche the, to dunyawí ibtidáí bátoṉ ke páband hokar gulámí kí hálat meṉ rahe: 4lekin jab waqt púrá ho gayá, to Ḳhudá ne apne Beṭe ko bhejá, jo ʻaurat se paídá húá, aur sharíʻat ke mátaht paidá húá, 5tákí sharíʻat ke mátahtoṉ ko mol lekar chhuṛá le, aur ham ko lepálak hone ká darja mile. 6Aur chúṉki tum beṭe ho, is liye Ḳhudá ne apne Beṭe kí Rúh hamáre diloṉ meṉ bhejí, jo Abbá, yaʻní, Ai Báp, kah kahkar pukártí hai. 7Pas ab tú gulám nahíṉ, balki beṭá hai; aur jab beṭá húá, to Ḳhudá ke sabab wáris bhí húá.jis tara hawwa ke wasile gunahayausi tarah mariyam ke wasile shriat ke mataht humare liye gunah aluda jism bejaaur jaise masih tisre din murdomen ruh ke jalal main paida huato wuh baap se paida huais liye jo koi masih men iman se paida hua wuh aurat se paida huaaur jo koi ruh l quds paida hua wuh baap se paida huaḲhurúj 4:22 (URDR55)Aur tú Fir‘aun se kahná, ki ḲHUDÁWAND yúṉ farmátá hai, ki Isráíl merá beṭá, balki merá pahlauṭhá hai:ʻIbrá Níoṉ 1:5 (URDR55)Kyúṉki firishtoṉ meṉ se us ne kab kisí se kahá, ki,Tú merá Beṭá hai,,Áj tú mujh se paidá húá?,Aur phir yih, ki,Maiṉ us ká Báp húṉgá,,Aur wuh merá Beṭá hogá?,II KURINTHÍOṈ 6 ; 14 Beímánoṉ ke sáth náhamwár júe meṉ na juto: kyúṉki rástbází aur bedíní meṉ kyá mel jol? yá raushní aur táríkí meṉ kyá shirákat? 15Masíh ko Balíyaʻal ke sáth kyá muwáfaqat? Yá ímándár ká beímán se kyá wásta? 16Aur Ḳhudá ke maqdis ko butoṉ se kyá munásabat hai? kyúṉki ham zinda Ḳhudá ká maqdis haiṉ; chunáṉchi Ḳhudá ne kahá hai, ki Maiṉ un meṉ basúṉgá, aur un meṉ chalúṉ phirúṉgá; aur maiṉ un ká Ḳhudá húṉgá, aur wuh merí ummat hoṉge. 17Is wáste Ḳhudáwand farmátá hai, kiUn meṉ se nikalkar ʻaláhida raho,Aur nápák chíz ko na chhúo;To maiṉ tum ko qubúl kar lúṉgá,18Aur tumhárá Báp húṉgá,Aur tum mere beṭe beṭiyáṉ hoge:yih Ḳhudáwand Qádir i mutlaq ká qaul hai.ROMÍOṈ 8 1Pas ab, jo Masíh Yisúʻ meṉ haiṉ, un par sazá ká hukm nahíṉ. 2Kyúṉki zindagí kí Rúh kí sharíʻat ne, Masíh Yisúʻ meṉ, mujhe gunáh aur maut kí shariʻat se ázád kar diyá. 3Is liye ki jo kám shariʻat, jism ke sabab kamzor hokar, na kar sakí, wuh Ḳhudá ne kiyá; yaʻní us ne apne Beṭe ko gunáhálúda jism kí súrat meṉ aur gunáh kí qurbání ke liye bhejkar, jism meṉ gunáh kí sazá ká hukm diyá: 4táki sharíʻat ká taqázá ham meṉ púrá ho, jo jism ke mutábiq nahíṉ, balki rúh ke mutábiq chalte haiṉ.IFISÍOṈ 2 1Aur us ne tumheṉ bhí zinda kiyá, jab apne qusúron aur gunáhoṉ ke sabab murda the, 2jin meṉ tum peshtar dunyá kí rawish par chalte the, aur hawá kí ʻamaldárí ke hákim, yaʻní us rúh kí pairawí karte the, jo ab náfarmání ke farzandoṉ meṉ tásír kartí hai; 3in meṉ ham bhí sab ke sab pahle apne jism kí ḳhwáhishoṉ meṉ zindagí guzárte, aur jism aur ʻaql ke iráde púre karte the, aur dúsroṉ kí mánind tabaʻí taur par gazab ke farzand the: — 4magar Ḳhudá ne apne rahm kí daulat se, us baṛí mahabbat ke sabab, jo us ne ham se kí, 5jab qusúroṉ ke sabab murda hí the, to ham ko Masíh ke sáth zinda kiyá, (tum ko fazl hí se naját milí hai,) 6aur Masíh Yisúʻ meṉ shámil karke us ke sáth jiláyá, aur ásmání maqámoṉ par us ke sáth biṭháyá; 7táki wuh apní us mihrbání se, jo Masíh Yisúʻ meṉ ham par hai, ánewále zamánoṉ meṉ apne fazl kí beniháyat daulat dikháe: 8kyúṉki tum ko ímán ke wasíle fazl hí se naját milí hai: aur yih tumhárí taraf se nahíṉ: Ḳhudá ki baḳhshish hai: 9aur na aʻmál ke sabab se hai, táki koí faḳhr na kare. 10Kyúṉ-ki ham usí kí karígarí haiṉ, aur Masíh Yisúʻ meṉ un nek ʻamál ke wáste maḳhlúq húe, jin ko Ḳhudá ne pahle se hamáre karne ke liye taiyár kiyá thá.II Kurinthíoṉ 5:16 (URDR55)Pas ab se ham kisí ko jism kí haisíyat se na pahcháneṉge; háṉ, agarchi Masíh ko bhí jism kí haisíyat se jáná thá, magar ab se nahíṉ jáneṉge.II Kurinthíoṉ 11:3 (URDR55)Lekin maiṉ ḍartá húṉ, kahíṉ aisá na ho ki jis tarah sáṉp ne apní makkárí se Hawwá ko bahkáyá, isí tarah tumháre ḳhayálát bhí us ḳhulús aur pákdámaní se haṭ jáeṉ, jo Masíh ke sáth honí cháhiye.ROMÍOṈ 8; 4 Is liye ki jitne Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se chalte haiṉ, wuhí Ḳhudá ke beṭe haiṉ.GALATÍOṈ 5 ; 13 Ai bháiyo, tum ázádí ke liye; buláe to gaye ho; magar aisá na ho, ki wuh ázádí jismání bátoṉ ká; mauqaʻ bane, balki mahabbat kí ráh se ek dúsre kí ḳhidmat karo. 14Kyúṉki sárí sharíʻat par ek hí bát se púrá ʻamal ho játá hai, yaʻní is se, ki Tú apne paṛausí se apní mánind mahabbat rakh. 15Lekin agar tum ek dúsre ko káṭte aur pháṛe kháte ho, to ḳhabardár rahná, ki ek dúsre ká satyanás na kar do. 16Magar maiṉ yih kahtá húṉ, ki Rúh ke muwáfiq chalo, to jism kí ḳhwáhish ko hargiz púrá na karoge. 17Kyúṉki jism Rúh ke ḳhiláf ḳhwáhish kartá hai, aur Rúh jism ke ḳhiláf; aur yih ek dúsre ke muḳhálif haiṉ; táki jo tum cháhte ho, wuh na karo. 18Aur agar tum Rúh kí hidáyat se chalte ho, to sharíʻat ke mátaht nahíṉ rahe. 22Magar Rúh ká phal mahabbat, ḳhushí, itmínán, tahammul, mihrbá-ní, nekí, ímándárí, 23hilm, parhezgárí hai: aise kámoṉ kí koí sharíʻat muḳhálif nahíṉ. 24Aur jo Masíh Yisúʻ ke haiṉ, unhoṉ ne jism ko us kí ragbatoṉ aur ḳhwáhishoṉ samet salíb par kheṉch diyá hai. 25Agar ham Rúh ke sabab se zinda haiṉ, to Rúh ke muwáfiq chalná bhí cháhiye. 26Ham bejá faḳhr karke, na ek dúsre ko chiṛáen, na ek dúsre se jaleṉ.Galatíoṉ 3:3 URDR55Kyá tum aise nádán ho, ki Rúh ke taur par shurúʻ karke, ab jism ke taur par kám púrá karná cháhte ho?ʻIbrá Níoṉ 10:10 (URDR55)Usí marzí ke sabab ham Yisúʻ Masíh ke jism ke ek hí bár qurbán hone ke wasíle se pák kiye gaye haiṉ. II Kurinthíoṉ 4:11 (URDR55)Kyúṉki ham jíte jí Yisúʻ kí ḳhátir hamesha maut ke hawále kiye játe haiṉ, táki Yisúʻ kí zindagí bhí hamáre fání jism meṉ záhir ho.