Wo Chaar Log - S01 E04 - Train Stories

Khidki waali seat naa mile toh gussa aata tha naa, Dono coach ke beech mein khade hone mein mazaa aata tha na? Darr lagta tha na jab train khulne lagti thi aur papa chadhe na ho? Mazaa aata tha naa wo chane aur chips khareed ke khaane mein!  kuch bhooli bisri tasveerien aayi hongi aankho ke saamne lohpath gamini - Trains ki! Word kathin hai par hai khubsurat!  8th May 1845 mein 176 saal pehle, Madras Railway bani jo ki Indian Railways ki is glorious journey ka pehla milestone tha! aaj hum 68,00 + kms ke saath duniya ki 4th largest railway network hain. aur ek saal mei around 808 crore passengers is service ko use karte hain yaani ki world population se bhi around 40 crore zaada, trains are an irreplaceable part of every Indian’s life!   Kabhi kabhi sochta hun ki agar train nai hoti toh un movies ka kya hota jinme trains feature ki thi. 1955, Pather Panchali, kaha jaata satyajit ray ki isi movie Indian cinema ko international platform par pehli baar daala tha, uska wo historic scene jaha do chhote bache kheton ke beech apni mundane life mein achanak se rail gaadi ki awaaz sunte hain, unmein aasha jaagti hai wo daur ke dekhne jaate hain, I cant express it in words but  shayad Indian cinema ki most iconic scene. Trains, hum sab Indians ke dil mein ek aasha ek khushi jagaata hai, train hamesha se ek interesting point raha hai sabke liye.. be it authors jinhone book likhi train to Pakistan ya phir the girl on the train..ya phir woh director jinhone puri movie train ke andar hi shoot kari .. jaisi ki Bollywood ki burning train ya Hollywood ki Unstoppable. Toh aaj mai, Somu bana hu TTE yaani travelling ticket examiner, aj host nahi hu. Leke aaya hu ek interesting topic nai isse topic nahi, journey kahenge, Trains ki… chuk chuk karke chalne wali dhuan udane wali train

2356 232